M.com Top 20 Job Opportunities

Hello My All Friend

Aap Sabhi ka Swagat Hai www.Surajpateleducation.com Blog Par

Dosto aaj ham top 20 job opportunity ke baare me baat karenge joki hamare M.COM running or jinhone m.com ki degree haasil kar li in logo ke liye hai saath yah job degree walo ke liye bhi hai. Jinme private or government job bhi shamil hai.

Top 20 Job Opportunity


To aaiye jaante hai In top 20 job ke baare me.


private job VS government job

Agar aap Jana Chate ho to is blog ko aage tak read kare.

C.A

C.A 
C.A Jiska full form hota hai charted accountant jiske baare me adhiktar logo ko to pata hi hoga ab baat karte hai yah course aap kaise kar sakte hai. To yah course aap 12th or  15th ke baad ya m.com ke baad kar sakte ho saath hi yah bhi bata de ki C.A ke yaha job karna hoto aapko account ka knowledge hona jaruri hai.

C.S

C.S 
C.S jiska full form hota hai Company Secretary
Ab yah bhi bata de ki 12th ya 15th complete hona chahiye saath hi yah bhi bata de ki yah course aap m.com ke baad bhi kar sakte ho

Assistant accountant

Assistant Accountant 
Assistant account is job ko paane ke liye aapki degree complete honi jaruri hai or saath hi aapko computer ka knowledge hona bhi jaruri hai.

Accountant

Accountant 
Is job kr liye aapka T.Y B.COM hona jaruri hai saath hi yah bhi bata de ki account ki job ek bahut hi achhi job opportunity hoti hai.

Senior Accountant Executive

Senior Accountant Executive
Senior Accountant Executive
Aapko logo ne kai baar suna hoga senior account executive ke baare me but is job ke liye aapko degree ke sath aapko achha experience hona chaie accounting field me.

Personal Finance Consultant

Personal Finance Consultant 
Personal Finance Consultant 
Yah Field un logo ke liye hai jo consultant banna chahte hai is field me aap personal finance consultant ban sakte ho .
Is field me aap Logo Ko finance related information honi jaruri saath hi kis jagah per investment karna chahie Jise Business me fayda ho is baare me bhi jankari honi jaruri hai

Cashier

Cashier 
Cashier ek kaafi achhi job hai jisme  Kafi Achcha scope hai agr aapko computer chalana aata hai usko manage karna aata hai to aap ke liye yah job Achcha ho sakta hai aur isme bhi achha Khasha salary mil jaata hai aur isme qualification aap Logon ke liye after 12th bhi kar sakte ho after 15th or M.com Ke Bad Bhi Aap ye job bahut ashani se kar sakte ho  .

Business Consultant

Business Consultant 
Business consultant guys Agar aapko business ka Acha Khasa knowledge hai ki market me kaunsa business accha chal rahi hai kaunsa business ache se nahi chal raha hai
 Yaani ki aapko business knowledge hona jaruri hai agar aapko business me achha knowledge hai to aap yah business consultant kar sakte ho.
Consultant ke job ke liye aap Logo Ko after M.com ke bad yah job kar sakte ho lekin is job ko karne ke pahle aap Logo Ko Acha Khasa experience Lena hota hai Jiske vajah se aap yah job me aasani se aur acchi tarike Se kam Kar sakte  ho
Friend aap log is job me kisi ko bhi galat information provide nahi kar sakte aur na hi galat Kisi Ko consultant kar sakte ho Jiske vajah se aap Logo Ko pahle to yah sikhana hota hai and then is job Me App specialise Ban sakte ho or Is Job Ko Ashani se Kar sakte ho .

Financial Analyst

Financial Analyst 
Financial analyst ke job mein finance marketing ko Lekar Kafi Acha knowledge Hona jaruri hai  after T.Y ya m.com ke bad eligible Ho Jaate Ho is job ke lie lekin is job me aapko finance Institute Me kaam karna Hota Hai jise aap ko finance ka Acha Khasa knowledge hota hai jis vaja se  aap Logon Ko guide kar sakte ho ki aap apna Paisa kis market ke company me invest karne se aapka finance increase Ya Profit hoga because  is job profile me  aap Logo Ko finance analysis karne ka kam hota hai jisme  aap Logo Ko Yahi dekhna hai ki market Me finance kis company ka Achcha hai aur kis company ka kharab hai aur usse Dekhate hue Hame invest karna hota hai aur jo Ham Apne company Ko batate Hai.

Friend ab tak To Ham private job ke bare baat kar rahe the Kuch government job ke bare me bhi baat karte hai ki Hamare Samne m.com ke bad ya B.Com ke bad kaun kaun se Aise job hai jo government job hai aur vah ham select kar sakte hai Chaliye Ham us baare me bhi jaan lete hai

Teacher / Lecturer

Teacher / Lecturer 
Teaching and lecturer Kafi acchi hai friend is job me aap Logo Ko qualification requirement hoti hai aap yah job after TY BCom or M.com and Iske alag se professional course bhi Aate Hai Jinka Name NET SET Karke hai jo  Mumbai university hi karata hai aap Logo ne University hi aapane net set Me qualify or sath hi sath JRF kiya ho to App log college ya school ke Principal Bhi Ban sakte ho Jiske vajah se aapke name ke samne Dr lagata hai.
Friends is job Me teaching and lecturer ke Naukari bhi kar sakte ho Sath hi Sath part time job bhi kar sakte ho or saath hi saath yah bhi bata de ki aap apna khud ka coaching class bhi open kar sakte ho aur teaching me Agar aapane NET SET exam diya hai to aap koi bhi government job  teaching  field me aap kam kar sakte ho.

Banking

Banking 

Friend banking  job ke liye aap Logo Ko Bank ke exam dene Hote Hai agar aap exam me pass ho jaate to aap Bank me job kar sakte ho aur yah bank job aapko private me bhi available Hote Hai or government job bhi available hoti hai banking ka job 12th and T.Y ke bad m.com ke bad aap ye job kar sakte ho iska exam pass kar ke friend.

LIC

LIC 

LIC ka full form Hai Life Insurance Corporation Friend Ham baat karte hai ki isme karna kya hota hai aur yah ham kaise kar sakte hai.
 Agar aapane 12th pass kar liya hai to app agent ka exam de sakte ho aapane TY ke bad yah M.com ke bad bhi aap yah exam ke liye eligible ho aur yah exam pass karte hi aap LIC ke agent ya Uske manager Ban sakte Ho.

SSC

SSC 
SSC ka full form Staff Selection Commission dosto aap Logo Ko SSC ka exam Dena hota hai aur agar aap exam de dete ho to aap is job ke liye eligible Hote ho aap niche bhi dekh sakte ho ki UPSC Union Public Service Commission yah exam bhi ke bad de sakte ho Iske exam pass karne ke bad aap log police, military me ya civil Navy me Army me aap kam kar sakte ho.


LLB

LLB 
Agar aapko LLB karna ho to yah Bachelor of law ki degree complete karni hoti hai is degree me aap loyer bante ho or aapko law se related saare knowledge hone jaruri hai
Is degree ke liye aap ko minimum qualification Degree ya Master Degree complete honi chahiye.

Railway

Railway 
Railway job jiski vecancy government ke taraf se hi nikaali jaati hai aur government ki taraf se hi uski Bharti Karai Jaati Hai aap log m.com ke bad railway exam de sakte ho  agar aap yah exam pass Karte Ho To aap Railway job ke liye eligible Ho Jaate Ho aur saath hi railway job main aap Logo Ko achhi salary bhi milati hai.

Corporate Analyst

Corporate Analyst 
Agar aap Logon Ko corporate company mein aur aap chahte ho ki aap Iske related job karna hai to aap corporate analyst job kar sakte hai yah job aap Logo ke liye Kafi Acha hoga

Investment Banker

Investment Banker 
Investment banker agar aap Logo Ko investment ke related Acha Khasa knowledge hai aur Bank ke related Acha Sa knowledge hai aapko yah pata hai ki kaun sa Bank aaj market Me grow kar raha hai or kaunsa Bank nahi kar raha hai to aap Uske hisab se bank Me invest kar sakte hai Jiske Liye aapko investment management course hota hai agar aapko investment me aap job karna chahte ho aur related for bank to aap investment banker ka ek Achcha job opportunity ho sakta hai.

Finance Manager

Finance Manager 
Agar Aap Ko Finance ko manage karna investment sahi jaga karna aata hai or aap ko is kam me interest hai to aap ke liye yah kaam bahut acha hai. aap finace manager ka job kar sakte ho.

thank you for my video

Operations Manager 
Operational manager aap Logo Ko manager ke related work karna pasand hai acchi salary agar aap ko chahte ho to aap operational manager ka bhi job kar sakte ho yah bhi aapke liye ek acchi job hai.

I hope friend ki aap Logo Ko Jo Bhi Mene job opportunity bataya hu aap Logo Ko Jarur hi Pasand Aaya Hoga friend aap Logo Ko Kuch Bhi problem ho ya education ke related koi doubt ho to aap mujhe comment kar sakte hai Sath hi sath me aur bhi post likha hu aap vah post bhi dekh sakte hai.


Aapko Mere Aur Bhi post dekhna hai to aap mere website

www.SurajPateleducation.com per visit kar sakte hai.

Aapko education ke related Aur Bhi videos dekhta hai to aap mere YouTube channel Suraj Patel education per bhi jakar aap Video dekh sakte hai

Agar friends aapko ko comment karke mujhse puchne me koi problem hoto maine apne is post me apni Instagram or Facebook ID de rakhi hai aap vaha se mujhe message kar saare problem ka solution jaan sakte ho.







5 Comments

  1. Thank u for all this job guidelines

    ReplyDelete
  2. This is my first time i visit here. I found so many entertaining stuff in your blog, especially its discussion. From the tons of comments on your articles, I guess I am not the only one having all the leisure here! Keep up the good work. I have been meaning to write something like this on my website and you have given me an idea. hurricane protection glass

    ReplyDelete
Previous Post Next Post

Recent Post

Direct Tax